Hi,

Bahooooot zyada request ki thi ap logo ne is cheez k bare main bahot log keh rhe the k bhai shave kare ya trim kare to lo ji aa gya ispe post maine socha is topic ko video main batane se accha hai k main apko post main bata dun. Tension ni lo yahan bhi acche se hi samjauga.

Pimple pe agar shave karoge to pimple aur zyada red ho sakti hai chahe ap kitna bhi moisturizer use karo after shave use karo lekin shave ki blade se pimple cut ho sakta hai blood aa sakta hai aur bhi bahooooot problem ho sakti hai ye bhi ho sakta hai shave karne k baad apko bahot pimple start ho jae. Bahot youtuber ajkl shave pe video bna rhe hai bhai ek baar dekho wo paid video hai usmein unko accha kehna hi padega na shave k bare main.

Ab baat karte hai trimmer ki to trim karne pe trimmer hamari skin se zara sa durr rehta hai jiski wajah se wo pimple ko nuksaan nahi pohnchahta na hi wo skin ko nuksaan deta hai. Shave karne se zyada safe bhi hai trim karna aur market main bahot trimmer available hai lekin ap koi acchi brand ka hi use kare.

Sbko dekh k shave karna start mat karo apni skin dekho pimple hai to shaving ko durr se raam raam kehke side se nikal jao.

Trimmer apke liye bahot accha rahega.

Main khud trimmer use karta hun shave karne se better hai trim karna agar apko pimple ki problem hai to.
Hi,

Ajkal pimple ki problem bahot zyada common ho chuki hai lekin iska solution utna hi zyada mushkil hota jaa rha hai. Ab baat karte hai mujhe pimples k bare main itna kuch kese pata hai ?? Bhaii pimple ki bahot zyada problem thi mujhe aur ab main ek mission pe hun aisa hi samj lo ab main chahta hun sbko best se best skin provide kar saku. Pimple darkspot in sabse durr rakh saku ap logo ko.

Ab aate hai ajke main topic pe jo hai pimple k liye best face wash kaunsa ho sakta hai ?????

Pimple ke liye sbse pehle ek cheez samj lo jis facewash main scrub effect ho wo use mat karna kabhi.

Oily skin - Agar apki skin oily hai and ap face wash dhundh rhe ho to patanjali activated carbon and vitamin apki acchi help kar dega.

Combine skin - Agar apki skin combine hai ap cleanser ya face wash dono use karte ho lekin ek baat samj lo summer main face wash use karo winter main face cleanser.

Face wash use karo patanjali activated carbon and vitamin e .
Face cleanser use karo emodel cleansing lotion.

Dry skin - Agar apki skin bahot zyada dry rehti hai summers main bhi to ap use karo himalaya neem pimple clear face wash for men ya phr ap use kar sakte ho face cleanser emodel ka dono hi apke liye helpful hai.

Ummed karta hun apko meri post acchi lagi hogi. Aisi aur apke kaam ki posf dalta rahunga bs ap log support karte rehna.

Jai hind vande mataram 
Hi,

To aaj mein ek cream review Karne Wala Hoon uska naam hai meglow. Apmein se bahut Sare logo Ne Shayad iss ka naam Suna hoga. Aur suna Bhi kyun Na Ho because aaj kal bahut sare medical shop pe ye wali cream mil rahi hai.




Ab baat karte is cream ke baare mein abhi tak ki sabse Buri cream jo maine Meri Puri life mein use Ki Hai Woh Yehi cream hai. Meri skin combine hai lekin Mere kuch friends hai unki skin oily hai mujhe aur mere friend Dono ko is cream se bahut jyada pimple ki problem face Karni Padi thi.

Is cream se red colour wali pimple Jo Kafi Badi hoti aur Kafi painful hoti hai woh aapko hony start ho jati hai. Aap meinse Shayad Koi log mere Pe Yakeen Na Kare aur agar aap Yakeen nahi kar rahe toh maine neeche video  diya hai uske andar aap dekh Sakte is cream ko use karne ke baad Mujhe Kitni pimple ki problem face Karni Padi thi



Aur meri koi dushmani to hai nahi is cream k sath main bs apko bta rha hun ki ye cream bahot kharab side effect deti hai. Agar ap soch rhe ho ki ye cream apko fair look degi fair skin degi to ye apki galat fehmi hai ye cream ap-ko bs pimple pimple pimple aur sirf pimple hi dene walli hai. maine bahot problem face ki hai is cream ki  wajah se main nahi chahta ye problems apko bhi face karni pade.

is tarah ki cream se plz ap log durr rahiye qnki ye apki skin ko bhi shayd harm kar sakti hai jese isne meri skin ko harm kiya hai.

main kisiko bhi recommend nahi karunga ye cream use karne k liye. aur main is cream ko rate karta hun 0/5 bcoz is cream main koi acchai dikhi hi nahi mujhe. ho sakta hai ke sbko bure effect na de ye cream lekin jo mere sath hua tha maine wahi share kiya apse

apni skin ki care karo lekin acche products se.

Hi,

Aj main apko batane wala hun fair and lovely cream ke bare main. peechle kafi time se main isko use kar rha tha aur mujhe laga k iske bare main batana chahiye. To sbko meri taraf se hello aur dekhte hai kya hai is cream main khas aur kya ye itni effective hai bhi ya nahi.

Is type ki packing hai iski lekin packing important nahi hai humko to product se matlab hai. To last 1 saal ho chuka hai mujhe isko use karte hue and mujhe abhi tak pimple nahi hui is se par iska ye mtlb nahi k apko bhi nahi hogi pimple.

Agar apko pimple ki problem rehti hai to plz is cream ko use mat karna qnki ye apki pimple ko shayd aur bigad bhi sakti hai. Lekin agar sirf darkspot ki problem hai to ye apke kaam ki cheez hai.

Ab baat karte hai kya ye skin ko fair karti hai. mera jawab hai k apki bachpan wala skin tone mil sakta hai apko is cream se. fair to nahi lekin purana skin tone mil jaega. Ek aur sawal jo aata hai k oily skin walo k liye kesi rahegi ye cream ? oily skin walo ko shayad thoda oil aa sakta hai isko lagane k baad. combine skin walo k liye acchi hai aur dry skin walo k liye bhi work kar degi.

Is cream ko lagane k baad thoda white chehra ho jata hai jo bahot ajeeb dikhta hai is isliye zyada cream mat use karna. thodi si cream hi use karna.

aur pimple hai to is cream ko use karne ka sochna bhi mat.

price aur quantity dono thik hai. lekin darkspot pe itni bhi effective nahi hai isse acchi aur bhi creams hai market main. Agar darkspot pe video dekihna hai to neeche wala video dekhe. usmein acchi cream batayi hai.



Is cream ko main dunga 3/5.

Aisi aur post k liye follow karna na bhule aur apni salah comments main de.